By Chandan Das
Ae Zindagi ye kaisa hain tera khel , Kaisi hain teri maaya
Kisi ko di apni barqat ki dhoop , to kisi ko soonepan ki chhaya !
Koi saasein le raha hain maut aane ke baad bhi, to koi hain zinda laash,
Ae Zindagi mujhe teri hi hain Talaash, teri hi hain Talaash, teri hi hain Talaash !!
Ae Zindagi ye kaisa hain tera khel ,Kaisi hain teri maaya
Jaise ki CIRCUS ka JOKER, apne aansu dabaakar duniya ke liye muskaraaya !
Wo dekho singhasan par RAJA baitha hain udaas, udhar Rank bola “hota main RAJA kaash”
Ae Zindagi mujhe teri hi hain Talaash, teri hi hain Talaash, teri hi hain Talaash !!
Ae Zindagi ye kaisa hain tera khel , Kaisi hain teri maaya
Kisi ko bakshi jannat tune, to kisi pe apna sitam yu tune dhaaya !
Bekasoor ko mili bewajah wo sazaa, aur Gunehgaar ka na hua Pardafaash,
Ae Zindagi mujhe teri hi hain Talaash, teri hi hain Talaash, teri hi hain Talaash !!
Ae Zindagi ye kaisa hain tera khel , Kaisi hain teri maaya
Kuchh na le paya yaha se wo , kyuki bhoola ki khaali haath hi tha wo yaha aaya !
SITA ka haran kiya jis ghamand se, usi ghamand ne kiya RAAVAN ka sarvanaash,
Ae Zindagi mujhe teri hi hain Talaash, teri hi hain Talaash, teri hi hain Talaash !!
Ae Zindagi ye kaisa hain tera khel , Kaisi hain teri maaya
Udhar husn hain jiska khubsurat , utna hi daravana uska saaya !
Pulkit hain yaha koi sab kuchh khokar bhi , to koi sab kuchh paakar bhi hain hataash,